Pages

Saturday, July 12, 2014

Itnay Huy Qareeb K Door HoGay


You Zindagi Ki Rahon Main Majbour Hogay 
Itnay Huy Qareeb K  Ham Door Hogay

Aisay Nahi K Ham Ko Koi Bhi Khushi nahi
Lekin Yeh Zindagi Bhi To Koi Zindagi Nahi

Kiyon Is K Faislay Hamain Manzoor ho gay
Paya Tumko To Hamko Laga K Tum Ko Kho Diya

Ham Dil Pe Roy Or Dill Ham Pe Ro Diya
Palkhon Se Khuwab Kiyon Gir Gay Kiyon Choor Hogay .......!

Wednesday, May 7, 2014

HAWA RAKS KARTI HAI

Usay Kehna Sada Mosam Baharon K Nahi Rahtay
Sabhi Patay Bikharaty Hain Hawa jab Raks Karti Hai.....!


Pagal Ankhon Wali Larki

Pagal ankhon wali larki! Itne mehnge khawab na dekho____ Thak jao gi!!
Kanch se nazuk khawab tumhare  Toot gaye to
Pachtao gi!!

Soch ka sara ujla kundan
Zabt ki rakh mein ghul jaye ga
Kachey pakkey rishton ki khushbo ka resham
khul jaye ga-!!

Tum kia jano?
Khawab, safar ki dhop ke taishey
Khawab, adhori rat ka dozakh
Khawab, khiyalon ka pachtawa
Khawabon ki manzil ruswai!
Khawabon ka hasil tanhai!!

Tum kia jano?
Mehnge khawab kharedna hon to
Ankhien bechna parti hain____Ya
Rishte bholna parte hain

Andeshon ki rait no phanko
Piyas ki aot sarab na dekho
Itne mehnge khawab no dekho--!!
Thak Jao Gi!

Saturday, December 14, 2013

Tumhari

Khuwabon Main Jo Lutf  Tha Wo Ab Nahi Raha

Loat Aao K Meri Neend Ko Zarorat Hai Tumhari..!

Saturday, September 28, 2013

Aghaz-E-IshQ

Aghaz-E-Ishq To Khub Tha Kya Kahun

Pehlay To Thi Dil Lagi Ab Dil Ko Ja Lagi..